Saturday, December 25, 2010

wo prem kahani na rahi...


sagar ki lehrein aati jaati rahi
mohabbat ki mauj ka lutf uthati rahi
ek din toofan aaya kuchh aisa
na sagar ki lehar bachi na mohabbat ki mauj rahi..

fir bhi us kinare par hamnein kiya intezaar
k aayegi wo mauj fir ek baar
shaant sa wo toofan jo aane wala tha
khabar na thi par aya to uski pehchan bhi na rahi..

buzdil toofan peeth peechhe khanjar bhonkta hai
dard ka sailaab jism se saanson ko sokhta hai
khoon ki boondein ya aansu ke chheette
kuchh farq nahi, kyunki dil mein ab dhadkan na rahi..

aayenge fir ek baar saanson mein rawani lekar
agle janam ki odh mein pyari jawani lekar
milenge fir shayad tumse ek baar
kyunki kambakht, is janam mein wo prem kahani na rahi...